Shahi Ghoray

Aik ghareeb aadmi kay kamzoor gadhay ko shahi astabal main janay ka ittifaq howa. Gadhay nay daikha keh shahi astabal main rehnay walay ghoray khob motay tazay hain aur kai khidmat kernay walay bhi inki khidmat main lagay howay hain.

Gadhay ko apni halat per bohat afsoos howa aur yeh aarzo kernay laga, "Aey kaash! main bhi in jaisa hota."
Itnay main jang ka ailaan ho gya aur tamaam ghoron ko laraei kay maidaan main jana para. Jab woh ghoray laraei kay maindaan say wapis howay to gadhay nay daikha keh koi ghora zakhmi hai, koi laholahaan hai, kisi kay jism per teer laga howa hai aur koi marnay kay qareeb hai.
Jab gadhay nay yeh maajra daikha to kaha,
"Meray Khaliq! main isi haal main khush hon, main ye nahi chahta keh main in jaisa ho jaon."

Faidah:

Piyaray bacho! is kahani say tum nay achi tarha samjh liya ho ga keh Khuda nay jisay jis haalat main rakha hai, wohi bohat acha hai aur jo baray hain, unki aazmaeish bhi bari hai.

Sawalaat:

  • Shahi astabal main rehnay walay ghoray kaisay thay?
  • Gadhay nay afsoos kiyon kiya?
  • Ghoray laraei kay maindaan main kiyon gaey?
  • Zakhmi ghoray ko daikh ker gadhay nay kya kaha?

No comments:

Post a Comment