Lu'aab Mubarak Ki Barket

Hazrat Imam Shafa'i razi Allah anhu farmatay hain keh bachpan main, mai nay aik baar Huzur e Tajdaar e Madinah Sallallah Ta'ala Alaihi Wasallam ko khaab main daikha. Huzur nay mujh say farmaya,

"Aey larkay! tu kon hai?"
Mai nay arz kiya,
"Ya Rasool Allah Sallallah Ta'ala Alaihi Wasallam! Aap ki ummat main say hon."
Huzur nay nay farmaya,
"Qareeb aa."
Mai Huzur kay qareeb gya to Aap nay apnay munh say thok sharif (Lu'aab Mubarak) meray munh main daal diya. Phir farmaya,
"Ab jao, Khuda e Ta'ala tujh per fazal o berkat farmaey."
Phir is kay baad isi waqet Hazrat Ali karam Allah wajho tashrif laey aur aap nay apni anghothi ungli say utari aur meri ungli mai pehna di. Is kay baad say mera seena ilm o fazal ka samander ban gya.

Faidah:

Piyaray bacho! Hazrat Imam Shafa'i razi Allah anhu ki bari shaan hai, aur aap ki jab itni bari shaan Huzur Sallallah Ta'ala Alaihi Wasallam kay Lu'aab Mubarak kay sadkay mai hai, to phir Huzur Sallallah Ta'ala Alaihi Wasallam ki shaan o shoket aur Unkay ilm o fazal ka kon andaza lga sakta hai.

Sawalat:

  • Hazrat Imam Shafa'i razi Allah anhu nay khaab main kya daikha?
  • Hazrat Ali karam Allah wajho nay Hazrat Imam Shafa'i razi Allah anhu ko kya diya?
  • Hazrat Imam Shafa'i razi Allah anhu ko itna bara mertaba kis kay sadqay mai mila?

No comments:

Post a Comment