Aik rooz Haroon Rashid kay sath Abu Mu'awiya (jo nabina thay) khana khanay baithay. Jab khana kha chukay to mamool kay mutabiq Abu Mu'awiya kay haath dhulaey gaey, Abu Mu'awiya haath dho chukay to Haroon Rashid nay pucha,
"Aap jantay hain kay aap kay haath dhulanay wala kon tha?"
Abu Mu'awiya bolay,
"Nahi, main bilkul nahi janta keh mera haath kis nay dhulaya hai."
Haroon Rashid nay kaha,
"Aap ka haath main nay dhulaya aur woh sirf is liyae keh aap aalim hain. Goya main nay aap kay ilm ka ehtraam kiya."

Faidah:
Piyaray bacho! is waqia say maloom howa keh ilm kay sadkah main aalim ka ehtraam baray baray baadshah bhi kiya kertay hain. Is liyae tumhain khoob mehnet say ilm hasil kerna chahiae. Ilm he aik aisi cheez hai jis kay sadke main tumhain her jagha izzet mil sakti hai.
Sawalaat:
- Abu Mu'awiya ka haath kis nay dhulaya?
- Haroon Rashid nay Abu Mu'awiya say kya pucha?
- Haroon Rashid nay kis cheez ka ehtram kiya?
- Tumhain izzet kis cheez ki badolet mil sakti hai?
- Aalim ka ehtram kerna chahiae ya nahi?
No comments:
Post a Comment