Gheebat Ka Badlah

Hazrat Hassan Basri rehmat Allah alaih bohat he baray bazurg aur Allah kay wali guzray hain. Aik dafa ka ziker hai keh aik shakhs nay aap say aa ker kaha,
"Falaan shakhs nay aap ki gheebat ki hai."

Hazrat Hassan Basri rehmat Allah alaih nay usi waqet taza choharay mungwaey aur aik bertan main rakh ker is shakhs kay paas tohfah kay toor perbhiajay aur kehla bhaijha,
"Main aap ka bara shuker guzaar hon keh aap nay meri gheebat ker kay, apni naikiyon ko meray naama e aamal kay dafter main muntaqil ker diya hai. Aap kay ehsaan ka badla main chuka nahi sakta."
Woh shakhs Hazrat Hassan Basri rehmat Allah alaih kay is salook ko daikh ker bara shermindah howa aur aap ki khidmet main haazir ho ker mu'aafi chahnay laga.

Faidah:

Piyaray bacho! is say maloom howa keh kisi ki gheebat kernay say apna he nuqsaan hota hai aur jis ki gheebat kerta hai woh faidah mai rehta hai. Is tarha gheebat kernay walay k inaikiyaan, us ko mil jati hain. Is liyae gheebat say her haal mai bachna chahiye.

Sawalaat:

  • Hazrat Hassan Basri rehmat Allah alaih kon thay?
  • Aik shakhs nay aa ker Hazrat Hassan Basri rehmat Allah alaih say kya kaha?
  • Hazrat Hassan Basri rehmat Allah alaih nay gheebat kernay walay ka shuker kiyon ada kiya?
  • Kisi ki gheebat kerna achi cheez hai ya buri?
  • Dusray ki gheebat kernay say apna faidah hai ya nuqsaan?

No comments:

Post a Comment