Hazrat Saeed razi Allah anhu aik sahabi thay. Aik dafa aik aurat nay aap per aik gher kay baray mai dawa ker diya. Haalan'keh gher asal main aap ka he tha aur aurat ka dawa bilkul ghalat tha. Aap nay rook took nahi ki aur gher is aurat ko lay lainay diya. haan albata aap nay ye zaroor kaha,
"Aey Allah! ager ye aurat jhoti hai to is ko andhe ker day aur isi ghar mai is ki qabar bana."
Khuda e Ta'ala nay aap ki ye bad'dua qabool ker li aur woh aurat, jis nay zabardasti makan per qabzah kiya tha, kuch dinoon kay baadandhi ho gae. Ab is aurat ka haal yeh ho gya keh devaar pakar ker chalti aur kehti keh mujh per Saeed (razi Allah anhu ) ki bad'dua per gae.
Aik din woh uthe aur tatool tatool ker chalnay lagi.Ittifaaq say, us gher mai aik kunwaan tha, woh usi main gir pari aur aakhir wohi kunwaan us aurat ki qabar ban gya.

Faidah:
Piyaray bacho! is say maloom howa keh kisi ki cheez per na'jaiz qabzah jama laina bohat buri baat hai aur yeh bhi maloom howa keh saber ka anjaam bohat he acha hota hai.Sawalaat:
- Hazrat Saeed razi Allah anhu kon thay?
- Aurat ka dawa sacha tha ya jhoota?
- Aurat andhi kiyon hoe?
- Saber ka anjaam kaisa hota hai?
No comments:
Post a Comment