Sabar Ka Paigham

Hazrat Saeed razi Allah anhu aik sahabi thay. Aik dafa aik aurat nay aap per aik gher kay baray mai dawa ker diya. Haalan'keh gher asal main aap ka he tha aur aurat ka dawa bilkul ghalat tha. Aap nay rook took nahi ki aur gher is aurat ko lay lainay diya. haan albata aap nay ye zaroor kaha,

Gheebat Ka Badlah

Hazrat Hassan Basri rehmat Allah alaih bohat he baray bazurg aur Allah kay wali guzray hain. Aik dafa ka ziker hai keh aik shakhs nay aap say aa ker kaha,
"Falaan shakhs nay aap ki gheebat ki hai."

Lu'aab Mubarak Ki Barket

Hazrat Imam Shafa'i razi Allah anhu farmatay hain keh bachpan main, mai nay aik baar Huzur e Tajdaar e Madinah Sallallah Ta'ala Alaihi Wasallam ko khaab main daikha. Huzur nay mujh say farmaya,

Shahi Ghoray

Aik ghareeb aadmi kay kamzoor gadhay ko shahi astabal main janay ka ittifaq howa. Gadhay nay daikha keh shahi astabal main rehnay walay ghoray khob motay tazay hain aur kai khidmat kernay walay bhi inki khidmat main lagay howay hain.

Ilm Ka Ehtram

Aik rooz Haroon Rashid kay sath Abu Mu'awiya (jo nabina thay) khana khanay baithay. Jab khana kha chukay to mamool kay mutabiq Abu Mu'awiya kay haath dhulaey gaey, Abu Mu'awiya haath dho chukay to Haroon Rashid nay pucha,

Naat Sharif

Piyaaray Nabi tashrif jo laaey
Rehmat e aalam ban ker aaey

Ziker e Nabi phir main kerta hon
Baad e saba ab jhoom ker aaey

Allah Allah! Rab ka piyara
Jo ki sukhi roti khaaey

Bay-kas aur yateemon kay ghar
Dana pana khud pohnchaaey

Jahil o hashi diwanoon ko
Deen e Khuda ki baat btaey

Deen kay dushman pather maaren
Paishaani per bal nah aaey

Dushman aaey qatil ban ker
Deen ki dolat lay ker jaaey

Aap ki azmat SubhanAllah
Rooh e amen bhi der peh aaey

Chaan isharay say ho tukray
Dooba suraj phir laut aaey

In ki Naat biyaan ho kis say
Arsh e bareen say jo ho aaey

Meray Khuda tu Rood e Nabi per
Rehmat ki baarish bersaaey

Piyaaray Nabi kay naqsh e qadam ko
Shabman choomay jannet paaey